Friday, 30 November 2012

Jeevan ke manjhdhar me bhatka main rahi


Jeevan ke manjhdhar me bhatka main rahi
talash raha khud ko hun.
Lakhon ke bheed me hun chal raha
dhundh raha khud ka nishan hun.
Na janu hai koun paraya koun hai apna
par kar raha kisi ka entezaar hun.
Jeevan ke manjhdhar me bhatka main rahi
talash raha khud ko hun
Rastein to hai chalne ko kai magar
manzil se anjaan hun.
Nikala tha zindagi ko jitne ki chah me
par haar gaya kismat ki mar se hun
chahat jiske palko me zindagi gujarne ki thi
dur tanha aaj usi se utna hun
Jeevan ke manjhdhar me bhatka main rahi
talash raha khud ko hun.
Hai chahat ki mil jawo tum dost bankar phir kahi
par milan ki esi chahat se darta hun
Ab to es tanhai ko dost hamne apna bana liya hai
ki har khushi ab gam si lagti hai
Na milna tum kabhi kisi mode pe aye dost
kyonki pakar phir tujhe khone se darta hun
Jeevan ke manjhdhar me bhatka main rahi
talash raha khud ko hun.

Sunday, 25 November 2012

Jane kab aayegi wo samne


hai jiski yadon me dil ye khoya
hai kahan wo dil ye jise dhundhta
raat sapno me aaye mujhko wo jagaye
aankhein kholu to jhat gayab ho jaye
har pal ab ye chehra aankhon me rahe
dekhna jo chahun to dhundhla sa lage
jane kab aayegi wo samne
dekhne ko jise dil ye har ghadi tadpe.

jeevan aur waqt ki doud me


jeevan aur waqt ki doud me
khud ko hi bhulata gaya
bhaith akele tanhai me jab
khud ko talasha to akela paya

mudkar pichhe dekha to
bhagti bheed me khud ko tanha paya
Duniya ke mele me khada paya
jahan har koi laga hai apni le-de me
ek-dusre ko niche girane me
jajbaat,rishte jaise shabdo ko mitane me
pardarshi vastro me dhaki bheed jahan
juti hai khud ko shreshth kahalwane me

khada hakka-bakka bhochakka sa
sochta raha ya kahan aa gaya hun main
ye bhadkili rang-rangili duniya
bahar se rangeen parantu
andar se utni hi khokli hai.
har ek ki khawahish hai
jyda se jyada se sancheet karne ki
par utni hi khali unki jholi hai
jahan dekho wahan bas
bhaga bhagi ki cheena-chhori hai.
ye kaisa akinchan bikhrata path par main aaya
jis par apna sabkuchh nichhawar kar aaya

itni me lagi ek dhakka aur
khud ko phislata paya

jeevan aur waqt ki race me
khud ko hi bhulata gaya
bhaith akele tanhai me jab
khud ko talasha to akela paya

chahat main teri chhupawu kaise


chahat main teri chhupawu kaise
Dil ki apni ye dasta tujhe sunawu kaise

Pakar tujhe maine hai jo paya
Meri tanhayee ko tumne yun
apni muskurahato se jo sajaya
Us pyar ko main shabdo me dhalu kaise

chahat main teri chhupawu kaise
Dil ki apni ye dasta tujhe sunawu kaise

Tumhare bina ab main adhura hun
Meri jeevan ki har saans adhuri hai
Tumne mere dil ke kore panno pe
apni rang se rangoli jo sajayi hai
Us rang ki kimmat tujhe batlawu kaise

chahat main teri chhupawu kaise
Dil ki apni ye dasta tujhe sunawu kaise

Roshni jo tumne meri jeevan me layi hai
Meri har saanso me apni mahak jo bikheri hai
us mahak ki pahchan tujhe karawu kaise

chahat main teri chhupawu kaise
Dil ki apni ye dasta tujhe sunawu kaise

Muskil bina tere ab mera jina hai
Ekpal bhi tujhse dur na gawara hai
Bina tere ab meri jo tasveer adhuri hai
Us tasveer ko tumhe main dikawu kaise

chahat main teri chhupawu kaise
Dil ki apni ye dasta tujhe sunawu kaise

chahta hun tumhe


chahta hun tumhe harpal par
ye bata na pawu main!

dil ki baicheni ka aalam ye hai ki
use shabdo me bayan na kar pawu main

rakhta hun tujhe apni khayalo main
par deedar ko teri tarsu main.

aarjoo meri ki teri dil me jagah pawu
par kambhakt dastak bhi na de pawu main.

na jane ye kaisi meri mohabbat hai
ki ikrar se hi darta hun main.

darta hun pane se pahle tumhe khone se
teri inkar se aur apni pagalpan se

phir bhi teri intezaar me
palke apni bichhaye bhaitha hun main.

kabhi to tum aawogi mere samne
samjhogi meri dil ki tadap ko
is bebas ki juba ko
jo tumse kabhi kah na saka

ab to bas isi intezaar me
ji raha hun main.
 

Khawab


ye ishq hai ki hai koi shahar khwab ka
dil hai magan esme hai khud se bewafa
kaise batawu tumhe ye ehsaas dil ka
hai ye dard mithhi si ya samandar pyaar ka
armano ki es lahar main to bas bah raha 
ye ishq hai ki hai koi shahar khwab ka


ये  इश्क़  है  या है कोई शहर खवाब का 
दिल है मगन इसमें है खुद से बेवफा 
कैसे बताऊ तुम्हे ये एहसास दिल का 
है ये दर्द मीठी सी या समंदर प्यार का 
अरमानो की इस लहार में तो मैं बस बह रहा
ये  इश्क़  है  या है कोई शहर खवाब का 

Teri Yaad


Yaad ye teri ek pal bhi dil se jati nahi
tum paas hokar bhi paas hoti nahi.
zindagi ne ye kis mod pe la khada kar diya
ki palke jhapakti to hai par nind aati nahi.
chahat ki ye kaisi ajab bhul-bhulaiya  hai
ki nikalana to chahu par dil ko gavara nahi
pyar ke es safar me saath tum apna de do
phaila kar bahein apni mujhe unme sama lo
ki safar ye zindagi ka ab tanha katta nahi.
Yaad ye teri ek pal bhi dil se jati nahi
tum paas hokar bhi paas hoti nahi.

kuchh pure kuchh adhure


kab tak teri khayalo ko apni shabdo se sajata rahunga,
yu dur rahkar tujhse, teri yaad me khud ko jalata rahunga
Tamana hai khud ko teri aagosh me dubo dene ka
yu kab tak teri didar ko main tarashta rahunga.

==============================================


Har anjani aahat me tujhe talashta hun,
Har chehre me tujhe dhundhta hun
na Jane ye kaisi ajab bechaini hai
ki aaine me bhi tujhe pata hun.

==============================================


Ye zindagi bhi azeeb hai, kaise-kaise rang dikhati hai
kabhi bematlab hasati hai to kabhi yu hi rulati hai
Hamare atit ke panno se jane kab kya chura lati hai
kabhi khushiyon ke chand lamhe, to kabhi gam ke saye
Ye zindagi bhi azeeb hai, kaise-kaise rang dikhati hai

===========================================


 Bekarar hai nazre tere didar ko, Hai tadap dil me tere milan ki,
Naseeb ki bewafai to dekho, jo etni lambi ghadi hai entejaar ki.

===========================================

Tere Pyar ne mujhe deewana es kadar banaya
khud ko khud se hi bewafa kar diya
Pakar tujhe dil ne meri mujhse hi muhn mod liya
bhari bheed me bhi mujhe tanha kar gaya

====================================


Har waqt kisi ki yadon me khoya rahta hai
jane hai koun wo jise dil dhundhta rahta hai
wo ajnabi chehra aankhon ke samne rahta hai
dekhna chahta hun par dhundhla sa lagta hai
na jane hai kahan wo ajnabi, ek baar
jise dekhne ko dil ye tarasta rahta hai....

============================================




Dil ki ye pyas barso ki na jane kab bhujhegi.
Didar tere chehre ka ho, wo ghadi kab aayegi.
Jhulfo ki teri ghani badal tale
chain mujhko mile wo lamha kab aayegi.
Dhadkan se meri dhadkan mile teri,
Naino se meri naina batein kare teri
Tere ankahi shabd se dil sabkuchh samajh le
wo lamha wo pal kab aayegi.

============================================


dua meri hai us khuda se bas itna
jahan bhi rahe yaar mera use salamat rakhna.
na lage najar khushiyo ko uski kisi ki
rakhna khush sada use hai dua bas itni si.

============================================


saji rahe aangan teri chand-sitaro se
bhari rahe daman teri khushiyon se
na lage nazar tujhe  kabhi kisiki
Duwa hai meri khuda se bas itni si...

================================================

Meri Phariyaad


aye khuda meri ye phariyaad rakhna
yaar jo mera ruthhe to use tu mana lena!!
chahe ho dur mujhse wo jitni
Uske dil me meri jagah banaye rakhna
yun to honge kai uske chahne wale
par har chahat se pahle meri chahat rakhna
aye khuda meri ye phariyaad rakhna
yaar jo mera ruthhe to use tu mana lena!!
Tujhse bhi pahle hai jisko yaad kiya
Dil ki har dhadkan jiske naam kiya
us dil ki har dhadkan ko salamat rakhna
aye khuda meri ye phariyaad rakhna
yaar jo mera ruthhe to use tu mana lena!!

Tumhe bhi pyaar hai mujhse


Na mandir ka, Na masjid ka
pujari hun main sirf tere husn ka
teri aankhon me basta hun
teri dil me dhadakta hun
bas ek bar tu yaad kar
har pal tere samne rahta hun
tera prem meri shakti hai
teri aankhein meri manzil
mujhe yun mat kar nazar andaaz
sach me main hun tere kabil
tujhe chahna mera kam hai
tera pyaar meri kamzori
tere liye sanam zamane ko thukrana
ban gayi hai ab meri mazboori
bahut ho gayi ye luka-chhipi
ab ye bedard zamane se
bas ek bar kah do sanam
tumhe bhi pyaar hai mujhse
tumhe bhi pyaar hai mujhse...
=====================================

Bapu (Mahatma Gandhi)


san 1869 ki wo baat thi
2 oct ki suhani raat thi
gujrat ke porbandar ki ek kone me
janm liya ek shakti tha
naam jiska gandhi tha
satya aur ahinsa uska saathi tha!
san 1920 ka wah aandolan tha
bharat maa ki aazadi ke liye
rankshetra par kuda ek aur veer tha
param-nirbhikta, utkat deshbhakti
satyagarah, ahinsa aur rajniti me dharm
jiski mukhya shaktiyan thi
kudrat ke dwara bakshi
gulam bharat ko mili ek shakti thi!
hamein khush aur sukhi dekhne ke liye
kai bar to usne jail ki hawa bhi khayee thi
par unke samne angrezo ki kahan ek bhi chali thi
aur phir wo 15 aug 1947 ki ghadi bhi aayee thi
jab desh ki tiranga hawa me lahrayee thi!
aage phir suru unke aant ki kahani thi
kisi apne ne hi mari use goli thi
shayad unki kasoor ye thi
badle me usne n maangi koi kursi thi
goli ke dard ko, apne sine me daphhan kar
'Godse' ko di chhamadan ki potli thi
             shayad isiliye      
Duniya unhe Bapu kahkar pukari thi.

========================================
First poem from my diary sometime in 2003-2004
========================================

Give words to your feeling.

Frnds,

I know I am not a poet or a writer but I always tried to give words to my feelings which comes from my heart. Hope you all will like it.
I acknowledge that all words are mine and it's not a copy-paste from any source, in case if you found any similarity then it will be just a coincidence.
Dedicated to the one who inspired me to do this.
  
Binod Mahto
binodk.mahto@gmail.com



हे प्रभु , ये कैसी बिडम्बना है ! (Corona Pandemic)

 काल बैठा आज समय चक्र पे  कर रहा तांडव नृत्य है  घुट घुट सिमट रही ज़िन्दगी  लाचार सिस्टम की व्यस्था है  हे प्रभु , ये कैसी बिडम्बना है ! लिपट...